Sunday, March 22, 2009

Yaad....

Yun mujhko na sataya kare;
wo itna bhi na yaad aaya kare...

ab shaq-o-subaha bhi na raha bichad jaane ka;
Na aaye paas to mujhko bulaya kare...

Hai ye kaisa safar bechaini bhara;
Neend aaye nahi to sulaya kare....

Hum jiynege bhi to apni tarah" shahid";
Jaan jaati bhi hai to jaya kare......

Pehchaan....

Meri surat ab mujhse nahi milti;
Shayad isiliye log mujhe nahi pehchante.....

Kuch ko lagta hu mai ajnabi jaisa,
Kuch ko lagta hu mai zindagi jaisa,
har pal kuch badal jaata hai mujhme,
Shayad isiliye log mujhe nahi jaante......

Mera saaya mera hai par mere sath nahi,
Meri baaten meri hai par wo baat nahi,
Maathe ki shikan keh deti hai sab kuch,
Shayad isiliye log bura nahi maante......

Mere Haalaat...

Bas karo ab to jeene do mujhe;
zindagi zeher bhi hai to peene do mujhe....

Naya hai chaand nayi raat bhi hai;
hai nahi kuch to hone do mujhe....

thoda waqt lagega phool khilne me abhi;
Kuch mere khwab hai bone do mujhe....

Maine hamesha dhoondhe the tere kadmon ke nishan;
Ab paa liya hai to chalne do mujhe....

Mere hathon ki lakeeron ka sila;
Jo bhi likha hai wo milne do mujhe.....

Friday, March 20, 2009






Baaraha soch me pad jaata hu;
Kaha se aaya hu aur kaha jaata hu....

Wo aayega kabhi toh sunke isi aas me;
Mai wahi kahani baar baar dohrata hu.......

Kaun kehta hai taqdeer ka likha nahi mit-ta;
Mai to yaha roz likhta hu mitata hu........

Khwab jungle me hua karte the kabhi paida;
Aag lag gayi waha ab to is ghar me hi ugata hu.......

Tum mujhe paoge to paoge yunhi hardum ;
Rukhe dariya nahi jo roz badal jaata hu.........

Simat ke reh gaya tha jo sard mausam me;
Garam aahat se hi lamho me pighal jaata hu.......

Mujhse meri parchai ne cheen "shahid";
Wo saath hoti hai to do kadam chal paata hu........








Thursday, March 19, 2009

kuch to ehsaas baaki rahe;
dil me thodi si aas baaki rahe.
sab loot bhi le to gham nahi
bas thodi si saans baaki rahe..

hansna na ho to satati rahe,
zahir na ho to chupati rahe..
haar jaun chahe kuch pal ko main
zindagi tu mujhe aazmati rahe..






Wednesday, March 11, 2009

Darakht........Tree...

Shaakh se patto ko gir jaane do;
Phir use tanha hi reh jaane do........

Waqt badla hai kuch mausam badla;
thoda sa usko badal jaane do..........

Uske hone ke saare nishan mita do zamane ke liye;
Dil me uski yaad to reh jaane do............

Aag bujhane ki sabne koshishen kar li;
Uske jalne se bujhti hai to jal jaane do........


Monday, March 9, 2009


Phir koi shaam is shaam si na hogi;
ki zindagi mujhse milne aayi thi alvida kehne........

Ab to yaadon ke sahare hi waqt beet jaayega;
Usne itna diya hai ki kya kehne.............

Teri ankhon me nami thi ya nazar ka dhoka;
mujhe khush karne ko dil lagta hai dhoka kehne.......

Wednesday, March 4, 2009

Change......


Badalna khud ko hume manzoor hai lekin;
meri is khata ka koi to sila mile..

Shikayat kis se kare apni badhaali ka;
Kahin to raah me mujhko khuda mile........

Lagana dil ka hum bhi samajh jaayenge lekin;
Koi to shakhs mujhko bhi juda mile..........