Thursday, September 17, 2009

Koi shakhsh...!

 Band darwazon pe dastak deta hai koi,
us oor shayad ab bhi rehta hai koi........

Ki ummeed ke diye kahin bujh na jaaye,
ban ke baati wahan ab bhi jalta hai koi.......

Agarche to.d diye hai saare naate us-se,
khuda ke qeher se phir bhi abhi darta hai koi......

Aansuon ki nadi na jaane kab ki sookh chuki,
dard badh jaaye to kahin ab bhi rota hai koi.......

Jahan bichde the us kaali raat me do dil,
us dasht me shayad ab bhi bhatakta hai koi.....

Wednesday, September 16, 2009

Kyo zindgi tujhe samajhne me waqt gawaya humne,
Nahi socha ki tu kiski huyi hai ab tak.....

Mere khayal....!

Mere khayal kati patang ki tarah hawa me ud rahe hai,
bina dor ki ek patang jise manzil ka pata nahi.

Hawa ke thapedo se unme halchal si hoti hai,
apni pehchan bachane ko wo hawa se ladte hai.
Is jaddojahed me unko bhi thodi chot lagti hai
jaise patang ke kinare fat gaye ho.

Ab khayal apni jageh se kaafi door chale aaye hai,
thak haar ke wo aakhir zameen pe gir padte hai.
Phir ek naya ladka usko utha leta hai aur
usko thoda badal kar ek nayi duniya me udata hai.

Friday, September 11, 2009

Kya ab bhi....

Kya ab bhi chaand garmiyon ki alsayi raaton me
waise hi dikha karta hai jaisa hum apne aangan
ke darakhton ke beech se dekha karte the.

Ya wo aangan me mushroomi paudhe ab uga nahi karte.

Kya ab bhi gauraiyya ke ghonsle me uske nanhe bachche
waise hi udna seekhte hai jaise kabhi wo
udne ki koshish me zameen pe gir jaate the.

Ya ab wo barsaat ki raaton me jhingur ka bolna band ho gaya hai.

Kya wo talaab ke kinare ke khet ab
bhi waise hi hai jinke
kinare humne chalna seekha.

Ya un neem ke darakhton pe
gilaharion ka chadhna band ho gaya.

I don't know...

I don't know how far am i from you,
 but i am under the same sky over which
you said you will fly some day.

I listen to that song which you sang for me
and now i feel how meanings change with time
while words remain the same.

I don't know how far i am from you
,but i am on the same land where
you said you will build your home.

I can still feel that pain that you
took for me and now i feel
how thoughts change with time
while mind remains the same.

Tuesday, September 1, 2009

Mujhe tamannaon ki haqeeqat se rubaroo kar de;
Ki jaan jaun tapish kya hai ,jal jaane ke baad......

Ab to kuch bhi nahi baaki hai zamane ka mujh me;
Nasha utar gaya hai zamane ka ,hosh aane ke baad......

Behisab sawaalon ka ka ghera hai mere aage;
Choda kisko hai maine ,gale lagane ke baad......

Khoobiyon ki misaal ab bhi dete hai khud se;
ye to barish hai ,hoti hai aazmaane ke baad......

Mera to kya hai bharosa ki bas itna samajh lo"Shahid";
Mai wo diya hu jo jal jaata hai,bujh jaane ke baad.....