Monday, November 30, 2009

Change....

Tarz badla, sur badle , tarane badle;
Zindagi badli, jeene ke bahane badle.......

Jo aate jaate mil jaaya karte the raahon me;
Ab un doston ke bhi rehne ke thikaane badle.......

Raasta yun hi raha hai jaane kab se;
Waqt ke sath magar kitne jaanewaale badle........

Tum Aaye......

Jab kabhi shaam dhalti hai,
Zindagi apni karwat badalti hai,
Raat ke andhero.n me jab kahin
ek shama jalti hai to lagta hai ki tum aaye;

Jaado.n ki raaton me,
Choti choti baaton me,
Aise hi jab kahin
ek hansi pighalti hai to lagta hai ki tum aaye;

Baarish ki boondon si,
Udte parindon si,
Deewaron dar pe jab kabhi
Aahat si koi ho to lagta hai ki tum aaye;

Wednesday, November 25, 2009

Zamaana........

Yun to saath hai har waqt zamane waale;
mushqilon se hi milte hai nibhane waale.........

Ghar to mera aur tumhara jalta hai;
maza lete hai saare aag lagane waale..........

Baat ghar ki ghar me hi ho to theek warna;
til ka taad banate hai sunane waale...........

Tanz karna to inki aadat hai kya kariye;
aadat se  jo majboor hai kaha baaz aanewaale........

Ab darwaazon pe takna chhod do "shahid";
laut ke wapas kab aye hai jaane waale.......

Monday, November 23, 2009

Hona....

Mera to jo bhi hona hai yahin hona hai;
kisi ke liye acha, kisi ke liye bura hona hai......

Chahe meri ho ya uske man ki;
Khuda ki marzi hai, jo hona hai wahi hona hai.........

Zindagi jaisi bhi dekho waisi hi lagti hai;
Maano to tohfa, na mano to saza hona hai.......

Ye duniya badi hai, phir bhi hai choti;
Yahan kho ke milna, aur mil ke juda hona hai......

Dil se itna bhi na laga duniya ko 'shahid";
jo bhi aaya hai use ek din fanaa hona hai.......

Chehre....

Chehre,

Anjaane chehre,

kuch jaane pehchane chehre,

Khamosh chehre,

Madhosh chehre,

Kuch thode se afsos chehre,

Udaas chehre,

Lachar chehre,

Kuch musibaton se do chaar cehre,

Banawati chehre,

Dikhawati chehre,

Kahin dikhte hai sajawati chehre,

Milte julte chehre,

Hilte dulte chehre,

Kuch deewar pe jhoolte chehre,

Aasan chehre,

Mushqil Chehre,

kabhi mil jaate hai sangdil chehre,

Chehron ki bheed me har waqt shaamil chehre,..........

Sunday, November 22, 2009

Thode thode....

Sard raaton me kambal oodhe,
waqt guzarte rahe thode thode....

kuch din me ki kuch raat huyi baaton me,
faasle kam huye par reh gaye thode thode....

zehmat-e-jaan tab bhi tha,ab bhi hai ye,
aatish-e-ishq se bach to gaye par jal gaye thode thode....

gham aur khushi ko bas itna jaano,
har roz bulaate rahe thode thode.....

Kal Achanak...

1.
Ek baat jo atki thi akhin dil me
nikal aayi achanak
jaise koi phoda ho jo beh nikla ho,
Dard kuch kam sa ho gaya
jab lag gaye jakhmon pe marham
aur jee thoda sa halka ho gaya.....

2.
Daba ke rakho chahe jaise bhi
jab umadta hai to pyar kuch yun
barasta hai jaise sehra me huyi barish
aur dho deta hai aansuon se kabhi
to dhul ke paak ho uth.te hai hum....

Saturday, November 21, 2009

Nahi aati....

Ab bahane dhoondhte hai khush hone ke;
jo kehte the ki is taraf khushi nahi aati......

Zakhm reh reh ke kuredte rehte hai ab;
unhe to dard bina neend bhi nahi aati.......

Ye wo chiraag hai jo jal to uth.te hai ;
dhuan hota hai magar roshni nahi aati......

Ek Mod......

Ek chota bachcha,
apne tapte jism ko kisi tarah
kambal me dhaape
dhand se bachne ki koshish sa karta hua,

Bukhar se tapte badan,
aur dard se bhari aankhon ke sath,
patharon ke sard bistar par
aaram sa dhoondhta hua,

Paas hi baithi uski maa,
pareshan haal rooti ke chand
tukdo ka intezam karne ko
chai ki ketli garam karti huyi,

Aur usi dukan pe thand se bachne ko
chai khareedte log,
duniya ke kai sire ek mod pe milte huye..............

Monday, November 2, 2009

Paagal....

Wo jo dar jaata hai aahat se,
aur siskiyan lene lagta hai;

uske sath kuch hua tha aisa
jisne uski awaaz cheen li aur
use hamesha ke liye awaaz
se mehroom kar diya.....

Ek roz uske jigar ke tukde ke
kisi ne do tukde kar diye,
yahin isi jageh
uski aankhon ke saamne....

Wo chillaya tha
aur bahut zor cheekha tha,
aas paas waalon se
madad ki guhar bhi lagayi thi,
Par koi saamne nahi aaya......

Uski awaaz uske seene me jam gayi hai,
aur ab jab bhi kahin
koi aahat hoti hai
wo awaaz uske seene me kulbulati hai;
Par wo kuch keh nahi paata sirf uski
siskiyan sunayi deti hai.......

Jo sun sakte hai unko
ye bahut tez sunayi deti hai;
aur jo nahi sun paate
unhe wo bas
ek paagal dikhayi deta hai......