Had-e-nigaah se, bahut door nazar aata hai;
mujhe khawab me, mera shahar nazar aata hai...!
Khuloos ki kami, aur kuch nahi lagti;
Bas koi qudrat ka, qahar nazar aata hai..!
Wo meri mushqil ho, ya teri dard bhari pukaar;
khabarnaweeson ko to wo, bas khabar nazar aata hai...!
Kisi din pee gaya tha , jo kehta hai aaj tak;
Tera diya amrit use, zeher nazar aata hai...!
Ek chaand jo meri , gali chhor gaya tha;
Aasman me wahi chaand, shab bhar nazar aata hai..!
Meri ahmiyat abhit tum nahi jaan paaoge;
kuch cheezon ka matlab, unhe khokar nazar aata hai...!