Showing posts with label nazm. Show all posts
Showing posts with label nazm. Show all posts

Saturday, February 4, 2012

Darrr.......!

Chhupa raha hoon
khud se khud ko,

andheron ko dhoondhta hoon aksar,

shayad mil jaaye kahin,
wo wajah jeene ki,

ehtiyatan akele
sadkon pe nahi nikalta,

ki koi saaya na pad jaaye aisa,
jo meri parchhai ko pehchaan le,

uske peechhe peechhe chal
ke kahin wo yaha  tak na pahuch jaaye,

ye andhera
bahut sukoon deta hai mujhe

band darwaaje ke peechhe
se aata kabootaron ka shor,

jaise koi dard se karah raha ho,

kya dard ki bhi koi aawaz hoti hai?

na maloom kab se
sannaton ko dhoondhta hoon yaha,

ye shor shehar ka ,
ye shor zindagi ka,

ye bematlab ka shor mujhe behra kar dega...!

Monday, January 16, 2012

......

Kuch to thi baat jo bataani thi use;
Wo yunhi na sadko pe cheekhta firta tha...

Poocha kab kisine ki use kya chahiye;
Seekhne ka bas use doosra mauka chahiye;
Jeene ki koi choti si wajah chahiye;

Kuch to chot thi jo dikhani thi use;
Wo yunhi na sadko pe rota firta tha...



Monday, March 14, 2011

बहुत दूर















बहुत दूर आ गए हैं हम;
यहाँ से सब बहुत दूर दिखता है;


लोग छोटे दिखते है;

सपने बहुत बड़े मालूम होते हैं;

ऐसे जैसे उन्हें पूरा करने में
एक उम्र लग जायेगी;

क्या सिर्फ ख्वाब देखने में
वक़्त गुजारना अच्छा नहीं है?

ख्वाब पूरा होने पे
क्या ख्वाब मर नहीं जाते ?

उनकी भी तो एक उम्र होती है;

बहुत पास आ गए हैं
हम दुसरे छोर के;

नदी का दूसरा किनारा;
दुनिया का आखरी छोर...!

Monday, November 23, 2009

Chehre....

Chehre,

Anjaane chehre,

kuch jaane pehchane chehre,

Khamosh chehre,

Madhosh chehre,

Kuch thode se afsos chehre,

Udaas chehre,

Lachar chehre,

Kuch musibaton se do chaar cehre,

Banawati chehre,

Dikhawati chehre,

Kahin dikhte hai sajawati chehre,

Milte julte chehre,

Hilte dulte chehre,

Kuch deewar pe jhoolte chehre,

Aasan chehre,

Mushqil Chehre,

kabhi mil jaate hai sangdil chehre,

Chehron ki bheed me har waqt shaamil chehre,..........