Wednesday, August 26, 2009

Aaj Subah......

Subah utha aaj mai aankhen malte huye;
Akhbaar ke panne palat.te huye laga ki meri
meethi chai kadwi kyon lagne lagi?


Khabron ki kadwahat se mijaz kharab hua to socha
kyon na kuch likh ke man halka kar liya jaaye........


Tabhi paas me baithi billo rani ne ek choti chuhiya pe
jhapatta maara aur uska dum nikaal diya;
humne kaha beta emotional mat ho yahi to duniya
ki reet hai,bada hamesha chote ko dabata rehta hai.......


Chehre pe kai dino ki ug aayi jhaadi ko saaf karke
naashte ki table pe baitha to saamne ek murg mughlai dish
padi thi;


Mujhe TOPGUN-MURUGAN ki yaad aayi aur laga ki mai
hi wo non-vegetarian villain to nahi?
Humne phir kaha beta emotional mat ho jeene ke ladai me
kisi na kisi ko marna hi padta hai.......


Doosri chai ki pyaali le kar humne ek mahila ki tasveer
dekhi jinko attitude problem pe research ki beemari thi;


Abhi tak to purushon ki mansikta pe hi sawaal uthaye
jaate the lekin jis rate se mahilaon me attitudinal syndrom badh
raha hai samaj me doosri ganga bhi samananter hi behne waali hai;


Humne socha beta emotional na ho aur Ardhnaareeshwar (Half women God)
ki aradhna shuru kar do.......




Monday, August 24, 2009

Maine dekha.....

Maine sadak pe chalte huye aaj duniya ko dekha;
Barf ke gole khate huye bachcho me bachpan dekha aur
Ungliyan pakad ke chalna sikhate abba dekhe;
Hathon me hina ke rang sajati betiyan dekhi aur kuch saamaan
Khareedti maaye.n dekhi.......


Wahi paas me chai ki ketli pakde ek aur ladka bhi dekha;
Aur ek rikshe me do logon ka wajan dhota hua boodha bhi dekha;
Ek nanhi jaan ko seene se chipkaye ek aurat ko chand sikko ke liye
hath failate dekha;
Aaj maine duniya ke do na mil sakne waale kinare dekhe........


Kisi ke sar ko sahara dete kandhe dekhe;
Jinhone ne foda tha sar uska wo dande bhi dekhe;
Jin ankhon ne chamakte khwab the dekhe unhi
ankhon ki palkon me humne aansoon bhi dekhe;
Aaaj sadak par chalte huye ye sab meri aankhon ne dekhe.....



Tuesday, August 11, 2009

...Quest....

Jaana jitna utna ulajhta hi gaya;
Mai nikla tha zindgi ki paheli suljhane...


Jab pata chala shaam kyo hoti hai kyo hoti hai subah;
Jab raasto ke matlab kuch samajh aane lage;
Gehrayi raat aisi ki bhatakta hi gaya;
Mai nikla tha zindgi ki paheli suljhane....


Jab rishton ko jaana,rishton ki ahmiyat samjhi;
Jab jaana ki log tanha kyo hote hai;
Aag kuch aisi lagi ki sulagta hi gaya;
Mai nikla tha zindgi ki paheli suljhaane.....


Jab jaana pyar kya hai aur kyon hai nafrat;
Jab jaana maine haar aur jeet ka matlab;
Thokar aisi lagi ki girta hi gaya;
Mai nikla tha zindgi ki paheli suljhaane.....










Saturday, August 8, 2009

.....idle couplets.....

"Meri subah girwi hai ab chaand ke paas,
is bazaar me raat bahut mehengi bikti hai........"

"Wo sach hi kya jo sabko khamosh kar de,
hum jhooth hi kehte hai ki koi baat to ho........."

qaid...


Maine apne khwabon ke par katar kar unhe pinjdon
me qaid kar diya tha ki wo ud na sake,
Unke cheekhne ki aawazen mujhe roz sunayi deti thi.
Aazad hone ki unki bhi khwahish thi ,
Aaj kuch hua aur maine pinjda khol diya........

Thursday, July 16, 2009

.....Raindrops.....


The sand is still wet and your footmarks are still there,
The cold breeze is still coming from sea and i can't stop this time..

I can't stop feeling these raindrops on my forehead,
I can't stop breathing this fresh air in my head.....
My thoughts are still burning and i am playing with the remains.

Tuesday, July 14, 2009

Ab tumse mulaqaat jaane kab hogi;
Jo adhoori rahi thi baat jaane kab hogi.....

Itna ro lu ki zakhm dhul jaaye saare ;
Aansuon ki aisi barsaat jaane kab hogi....

Gir ke uthne ki ummeed bhi baaki na rahe;
Zindagi itni bhi baarbaad jaane kab hogi.......

Muddaton se is mod pe khada hu "Shahid";
Tere laut ke aane ki wo raat jaane kab hogi......

Saturday, July 4, 2009

Nayi Shaam.....

Kuch waqt mil gaya hai,Kuch waqt kho gaya hai;
Manzil to kuch wahi hai par raasta naya hai.....

Wo shaam jiski talash me mai meelo.n chalta raha;
Wo shaam to mili nahi mujhe lautna pada hai.....

Ab akela nahi hoon mai wo pehle ki tarah;
Mera dard hai mera hamsafar mere sath hi raha hai......

Kis ghadi badalegi qismat ki tabiyat ye jaane hai kaun;
Mai to yahi jaanta hu ki ilaaz chal raha hai......

Ab nazar mila ke chalne ke zamane gaye;
Koi dekhe hai to kehte hai ki aaram chal raha hai.....

Khalish jo dil me hai wo bhi door ho jaayegi "Shahid",
Ye dil ka maamla hai ye maamla bada hai.......






Sunday, May 31, 2009

Aaj phir ek shaam beet gayi;
shayad kal phir nayi subah hogi...

Naata kuch tootega apne aap se phir;
zindagi kuch raeth ki tarah hogi....

Zakhm bharne ko hai ye lagta hai;
phir nayi chot khaane ko to jageh hogi....

Jism khamosh bhi hai to kya shiqwa;
rooh baaki hai to fateh hogi......

Monday, May 4, 2009

ajnabi tasveeren.....

Kuch chhoota to nahi hai par sath le bhi nahi aaya;
Wo yaadon ke dhoondhle makaan ab bhi wahin hai......

Mera to dil jala aur usko khabar bhi nahi huyi;
Usne jo chot thi di uske nishaan ab bhi wahin hai......

Wo ghadi do ghadi me zindagi bhar ki khushiyan;
Chali gayi magar hone ka guman ab bhi wahin hai....