Mere khayal kati patang ki tarah hawa me ud rahe hai,
bina dor ki ek patang jise manzil ka pata nahi.
Hawa ke thapedo se unme halchal si hoti hai,
apni pehchan bachane ko wo hawa se ladte hai.
Is jaddojahed me unko bhi thodi chot lagti hai
jaise patang ke kinare fat gaye ho.
Ab khayal apni jageh se kaafi door chale aaye hai,
thak haar ke wo aakhir zameen pe gir padte hai.
Phir ek naya ladka usko utha leta hai aur
usko thoda badal kar ek nayi duniya me udata hai.
No comments:
Post a Comment