Friday, February 20, 2009


Mujhse ek baar mil to le phir chale jaana;
Teri marzi hai phir chahe aana na aana....

Dil ki lagi ko mai kya jaanu ki, mai nahi is qabil;
Ye to wahi jaane jisko aata hai ye aag lagana, bujhana...

Zindagi har saal kuch na kuch khoti hai;
Is saal magar veeran ho jaayega mera aashiyaana.....

Bhula dene ki koshish mai tanha kaise karu;
Tu bhi to kuch kam kar yaad aana..................

Meri har raah teri raah pe le jaati hai;
Kya itna mushqil hota hai apni raah badal paana..............







You will never know what i feel;
when i sleep alone far from my loved ones.....
You will never know how difficult it is
to close my eyes and watching them and pretending
that i am asleep.
You will never know how long this night seems like the
darkness of it is never gonna end but i still pray to god that
i wanna see the morning sun.
You will never know never how far i have came while traveling on
this unknown path and i feel i can't come back.
You will never know the pain i have suffered and you will never know
the reason of this pain.
You will never know why my face looks pale and the reason behind my red
eyes.
You will never know when did i started living and when did i stopped.
You will never know why i laughed and you will never know why i cried.
All you will know is that i existed and i was here when you were also present at the same place.


Tuesday, February 17, 2009

Meri Pehchaan .........


Meri raftaar abhi tum kya jaano?
kuch bhi jaano magar mujh ko tum, juda jaano.....

Abhi to aur bhi honge yahan charche mere;
Jo bhi hua hai abhi tak wo, Ibtada jaano.......

Dikhte hai kam agar tumhari gali me to kya hua?
Aisa na karo zulm ki ,Ghumshuda jaano.........

Mere chehre ki haalat hi kuch aisi hai;
Mujh me dekho agar to mujhko aaina jaano.........

http://www.ibtada.com/



Monday, February 16, 2009


Duniya ki mushqilon se pareshan aadmi;
Apne halaat se ladta laachar aadmi.........

Chinta ke lakeeren hai kuch ke maathe pe;
Aur kahin bheed me muskurata hai beemar aadmi.....

Kuch ko ghairon ne sataya hai to kuch
Apni ghaltiyon ka hai shikar aadmi...........

Saza to yanhi mil rahi hai saare gunahon ki"shahid';
Kehte hai ki Dojakh me jaata hai gunehgaar aadmi.....

Zindagi ki saare rang dekh paoge ghar chaho;
Saare rangon ka jeeta jaagta ishtehar aadmi.....

Pehle rang dhnag se bik jaate the bazaar me;
Ab to wahan bhi taule jaate hai bekaar aadmi.......










Sunday, February 15, 2009


Aaj apne aap ko dekha aur aisa dekha;
Ki koi
khud ke sath tanha baitha ho.

Meri baaten huyi mujhse ajnabi ki tarah,
Jaise mile ho do log kisi safar ke dauran aur

apna sab kuch ganwa baithe ho....

Meri kahaniyan mujhse alag si thi thodi,
aur thoda mai bhi tha meri kahaniyon jaisa.
Dono mil baithe aise ki jaise
saare gile shikwe mita baithe ho...

Parchai meri mujhse phir bhi door khadi thi,
Jaise usko sharm aati ho mere sath chalne me,
Maine phir bhi ki guzarish ki chal pado ki
kyon yahan bewajah baithe ho.....

Raat ki barish ne dho diye the saare nishan,
kis taraf chalu ab kaise ho pata ki jeena mushqil
hai jab saare raaste bhula baithe ho.......
Thoda to waqt do ki kuch keh jaun;
Nahi to mumqin hai ki chup reh jaun.





Kyo dard reh reh ke uth.ta hai;
Jab bhi wo khuda hafiz keh ke uth.ta hai....

Mai sochta hu ki kuch keh du magar;
Hosh jo hai thoda reh ke uth.ta hai.............

Aankh se barish to har roz hoti hai;
Taqleef hoti hai jab bina kisi wajeh ke uth.ta hai.....

Kitna baar toda gaya hai usko ab yaad nahi;
Magar wo hai ki Dhah dhah ke uth.ta hai...........


Change in time..........


Shakh se patte bhi jhhad gaye honge;
Naye saal me ab phool bhi naye honge....

Jo purane zakhm the wo bhar aaye hai.n;
Naye rishton me ab zakhm bhi naye honge......

Agar ye dil nahi hai paak saaf to kya hua?
Milenge kaha jo doodh se dhule honge........

Mujhko pata hai ye rasm duniya ki ab;
Jaha shabnam hai shole bhi wahi.n honge......

Kabhi to hoga ki neend aayegi in ankhon me;
Chahe tab hum khak me mile honge........

Kahan Jaaye.n......


Kabhi socha nahi kaha jaaye.n;
Aisa hota nahi wo aa jaaye.n.........

Humko bharosa nahi hota khud par;
Unse hota nahi ki aazma jaaye.n............

Kuch meri kismat bhi wajah hai iski;
Itna aasan nahi ki bhula jaaye.n.............

Maana ghalti ki thi jo mujhse mile;
Ek dafa apni khata dohra jaaye.n......

Phir nahi maangenge kuch bhi unse;
Bas ek dafa nazar se nazar mila jaaye.n.....


Friday, February 13, 2009


Mujhse ye bojh bhi uthaya na gaya;
Usne chhoda to bulaya na gaya.....

Rooh ki garmi se jal utha mai bhi;
Aisi thi aag ki usko bujhaya na gaya....

Kaise pata chalega mujhme aur usme farq;
Wo tha sachcha,mujhe jhoot sikhaya na gaya.....

Uski baaten goonjti hai is dil me har ghadi;
Ae khuda uska ek lafz bhi zaya na gaya..........

Na jaane in aankhon ki barsaat ki kab thame.n;
Ek arsa hua kabhi mujhko rulaya na gaya............



Sab kuch chod ke tere naam chala hu;
Ye Shahar bhool, manzil-e-ghumnaam chala hu.....

Laakh koshish ki phir bhi le nahi jaa paaya jinhe;
Chhod peeche kuch apne nishan chala hu.............

Dikhi nahi koi khata meri shayad rahi ho kuch;
Jhaank mai saare girebaan chala hu.....................

Darakhton ki Chaanv chod aaya hu ki tujhe;
Jab bhi khushi ho, mai bade aaram chala hu........


Kyo mujhe keh ke tum satate ho?
mai kuch na kar paunga,tum keh ke chale jaate ho....

Kya sab ke hath ki lakeeren hai ek jaisi?
Ya hai sab ke khwab chote aur hai mere bade?

Kyo toot jaayenge keh ke tum darate ho?
mai kuch na kar paunga, tum keh ke chale jaate ho.....

Tumhe laga tha mai bol nahi paunga,
Kab tumhe tumhare naam se bulaunga?

Maine seekh liya kehna ki tum ho mere,
Tumse hai meri duniya ye basi......

Kyo Ujad jaayegi keh ke tum jalate ho?
Mai kuch na kar paunga, tum keh ke chale jaate ho.....

Badal gaya hai ab mahaul pehle jaisa nahi,
Pehle mai chota tha mere khwab bade,
ab mai hu kuch bada to khwab chote lagne lage..

Haan mai ab laut aaya hu tumhare paas to tum aa kyo nahi jaate,
pehle tum paas the door tha mai,

Aa gaya hu yaha to kyo chhod jaate ho?
Bhool jaunga tumhe, keh ke chale jaate ho.........

Chahe jo bhi do seene se laga ke rakhenge;
nahi chahat teri to nafrat hi sahi......................

Milna hai jo bhi mujhe mil hi jaayega;
Abhi nahi to thodi mohlat hi sahi....................

Nahi jaanta tu mujhe to kya raha baaki;
Duniya ki nazron me meri Shohrat hi sahi...........

Na karo yaad hume, hum nahi bhoolenge kabhi;
Chahe chukani pade dil ko badi qeemat hi sahi.......

Tuesday, February 10, 2009

Raakh ka dher hai,dhua.n hai aur mai hu;
Jhooth ka daur hai,sach hai aur mai hu...

Ab nahin hai kisi ke sahare ki zaroorat;
Neela aasman hai, samander hai aur mai hu...

Wo sunayega mujhe dhero kahaniyan ab;
Uske khwab hain, sikander hai aur mai hu...

Ghumnaami ke din hai kuch din aur chalo;
Qafas(cage) hai, kabootar hain aur mai hu......
In baadlon ki tarah mera man bhi kahi.n;
Dil khol ke ab barasna chahta hai.........................

Pareshan ho gaya hai yunhi ghoom ghoom ke,
Jaise koi ghar ho na koi thikana ho rehne ka,
thak gaya hai ab ye zameen me simatna chahta hai......

Bojh ban gayi hain seene pe jaise iski boondein,
khaulta paani hai ye ab aur nahi saha jaata,
apni aankh se ab in ashkon ko bhi bahana chahta hai.......

Barson se hai dabi huyi hai iski cheekhen dil me,
Roz chubhta hai ye zeher bhi kannto ki tarah,
Ek baar to zor se ye bhi ab garajna chahta hai......

Badal jaayega mausam bhi thoda shor karo;
Khamosh nazron ki sada koi sunta hi nahi.................

Gar aadat nahi to aadat me ise shumar karo;
Maza udne me hai ruk ruk ke chalne me nahi............

Ikhtiyar mera hai na hai tumhare bas me;
Wo hi deta hai is se kisi ko inkaar nahi.............

Kadam badhana bhi mushqil hai ki is raah me;
Jannat bhi hai, dozakh bhi hai chalna hai magar...............

Haalaat badalte rehte hai har lamhe me yahan;
Kahi.n to dhoop kahi.n channv hai lamba hai safar.............

Faulad se bhi majboot iraado.n ko bana;
Hawa aati hai gira jaati hai jo ho raeth ka ghar..................

Chaand me daag hai tabhi salaamat hai chaand ab tak;
Maa lagati hai daag sar pe, na lage koi nazar...........

Na chhodo ummeed ka daaman ki duniya bhi hai;
Der hoti hai par hota hai Duao.n ka asar................

"Shahid" bhi chod jaayega to kaun hoga;
Koi to hai jisse aabaad hai ye tera shahar...................

Monday, February 9, 2009

Khoob socha tha ki hamara bhi ek muqaam hoga;
Nahi pata tha mera, yahi anzaam hoga......................

Haar jaunga mushqilon se ab rehne do;
Nahi pata tha mera, itna imtehan hoga...............

Na laata naam kabhi apni zuban pe, gar pata hota;
Bewajah sath mere tu bhi badnaam hoga............

Apne khwabon ko deewar pe lagaya nahi karta;
Kya pata tha wahi ghar raakh ke naam hoga..................

Ghar se nikla tha ,justazoon me teri laut aaya;
Nahi laga ki ye tamasha bhi sare-aam hoga.................

Jaun kaha ki ghar se beghar kar diya mujhko;
Mere qatl ka ilzaam bhi tere naam hoga................

Meri wafaon ka kuch to sila do "shahid";
Mera to ho gaya, tumhara bhi kaam tamaam hoga.................







Apni dosti ka karz mai chuka du.unga;
Waqt aane do sab kuch tumhe bata du.unga.............

Chahe jal jau.n apni koshish me tere liye;
Jaate jaate ek Sham.ma to jala du.unga................

Ab mera kaun hai kiske sahare jiya jaaye;
Zindagi teri amanat hai, tujhe lauta du.unga..............

Zindagi ne to mujh se wafa kiya hi nahi;
Maut bhi bewafa hoti hai, dil ko samjha du.unga.............

Na ho muqammal kuch ummeed to hai;
Isi ke sahare khud ko behla du.unga.........









Shikayat............


Is se pehle bhi shikayat rahi hogi;
Usne pehle to kuch kaha bhi nahi.n........

Raah me yunhi hume chhod diya;
Kahun kaise ki bewafa bhi nahi.n..........

Khafa tujh se nahi.n khud se hu ki tere baare me;
Khabar ghairon se mile, itna to bura bhi nahi.n.............

Meri Duao.n ka kabhi to asar hoga;
Chahne wala koi mujhsa abhi tak hua bhi nahi..........

Mera daawa hai ki tu laut ke aayega ek din;
Khuda ka karishma hai, roz roz hota bhi nahi.n......


Wednesday, February 4, 2009

Departure from myself.......khud se judai....


Khwab dekhna na chhoda humne;
Khwab me jeena, humne chhod diya.......

Khud se bhaagne ki fitrat na gayi ab tak;
Laut ke ghar aana, humne chhod diya...........

Toota aaj bhi hai seene me kuch pehle ki tarah;
Dil ke tukdo ko sanjona, humne chhod diya.......

Raah me thokar to ab bhi lagti hai yaaro.n;
Apno ne haath thamna , magar chhod diya......

Likhte ab bhi hai.n ki kuch farq aaye;
Kalam ko khoon me bhigona, magar chhod diya.......

Waqt rahega mere hone ka gawah "shahid";
Maqbooliyat ki chah ka aaina, magar chhod diya.......

Tuesday, February 3, 2009

Zindagi bas yahi.n thahar jaaye;
Tere aage na phir nazar jaaye.......


Shab-e-firaq ka zikr jab bhi ho mehfil me;
Aankh saari ashkon se bhar jaaye.......


Tu nahi to teri yaad to ho;
Raah koi to phir nazar aaye......


Shaakh pe phool bhi khil jaayenge;
Tere baare me kuch khabar aaye.....

Koi rahe na rahe mai rahunga "Shahid";
Chahe intzaar me ye umar bhi guzar jaaye.......



Ghalat hum hai, aur sahi tum bhi nahi;
Faisla kaise ho ki kya kiya jaaye.......

Dard to hai, aur koi marz bhi nahi;
Koi bataye ki kaise dawa ki jaaye.......

Mandir jal gaye, aur masjiden toot gayi.n;
Ab kahan jaake tere liye Dua ki jaaye.......

Roz marta hu, aur jee uth.ta hu har roz;
Thak gaya hu ab mujhe kabr me dafna diya jaaye......

Zindagi tu hi hai, aur tu hi nahi "shahid";
Sirf ek baar tujhe kahi.n se bula diya jaaye.........

Monday, February 2, 2009



Bolna tera aur mera na sun.na;
Kyo.n ye khata humse har baar hoti hai.....

Taareekh badal jaati hai Din nahi badalte;
Zindagi kyo.n itni bezaar hoti hai.......

Is ummed pe ki subah phir aayegi;
Yakin hota hai magar fiqr bashumar hoti hai......

Teri nazron se guftgoon hone ke baad"shahid";
Jaan jaati hai magar maut shandaar hoti hai.......

Sunday, February 1, 2009


Raat phir raat na reh paayegi;
Ye kahani ab door talak jaayegi.....

Humne socha ki is jism ko yahin chod de lekin;
Jis jagah rooh hai ye khud hi chali aayegi.....