Friday, December 11, 2009

you..

you took away everything that i had..
and i have nothing but the memories./

you have taken my sleep away from me..
and now i wander in these dark nights./
my only joy was watching your face..
and now i can't even see you./

your smile that kept me alive is no more with me..
and i have been left in this cruel world to remorse./

Tuesday, December 8, 2009

i was walking on the road.....

A quiet day it was
not a single sign of life;

with no work in hand
and without any word in mind
i was walking on the road...

Looking at the sky
throwing pebbles on the poles

with no fear in head
and with nothing to find
i was walking on the road.....

Friday, December 4, 2009

ghadi do ghadi me hua jo bhi hona tha/
aaj nahi hua hota to kal to hona tha...

ek safai di jo deni padti hai/
kuch reh gaya jo umar bhar dhona tha...

bahut aasan hai jhooti gawahi dena bhi/
sach kehta to bura to hona tha....

ghalti karne se zyada uska ehsas hai mushqil/
chahe jo bhi ho gham to hona tha....

Wednesday, December 2, 2009

Road to life....

Jaan pehchaan hum badhate rahe;
purane raaste pe yunhi aate jaate rahe......

Nazar mili kisi se to salaam keh diya;
dil mile to unhe ghar bulaate rahe.......

Raaste dhero naye dekhe is dauran humne;
phir bhi usi raaste se jaate rahe......

Khushboo reh gayi ho unke hathon ki;
isi ummeed me us khat ko dohraate rahe........

Hamare haal ka gawaah hai "shahid";
jis haal me bhi rahe muskurate rahe.......
Raaste hazaar hai unchaiyon pe pahuchne pe;
Nazara ek hi dikhta hai wahan se dekhne pe.......

Monday, November 30, 2009

Change....

Tarz badla, sur badle , tarane badle;
Zindagi badli, jeene ke bahane badle.......

Jo aate jaate mil jaaya karte the raahon me;
Ab un doston ke bhi rehne ke thikaane badle.......

Raasta yun hi raha hai jaane kab se;
Waqt ke sath magar kitne jaanewaale badle........

Tum Aaye......

Jab kabhi shaam dhalti hai,
Zindagi apni karwat badalti hai,
Raat ke andhero.n me jab kahin
ek shama jalti hai to lagta hai ki tum aaye;

Jaado.n ki raaton me,
Choti choti baaton me,
Aise hi jab kahin
ek hansi pighalti hai to lagta hai ki tum aaye;

Baarish ki boondon si,
Udte parindon si,
Deewaron dar pe jab kabhi
Aahat si koi ho to lagta hai ki tum aaye;

Wednesday, November 25, 2009

Zamaana........

Yun to saath hai har waqt zamane waale;
mushqilon se hi milte hai nibhane waale.........

Ghar to mera aur tumhara jalta hai;
maza lete hai saare aag lagane waale..........

Baat ghar ki ghar me hi ho to theek warna;
til ka taad banate hai sunane waale...........

Tanz karna to inki aadat hai kya kariye;
aadat se  jo majboor hai kaha baaz aanewaale........

Ab darwaazon pe takna chhod do "shahid";
laut ke wapas kab aye hai jaane waale.......

Monday, November 23, 2009

Hona....

Mera to jo bhi hona hai yahin hona hai;
kisi ke liye acha, kisi ke liye bura hona hai......

Chahe meri ho ya uske man ki;
Khuda ki marzi hai, jo hona hai wahi hona hai.........

Zindagi jaisi bhi dekho waisi hi lagti hai;
Maano to tohfa, na mano to saza hona hai.......

Ye duniya badi hai, phir bhi hai choti;
Yahan kho ke milna, aur mil ke juda hona hai......

Dil se itna bhi na laga duniya ko 'shahid";
jo bhi aaya hai use ek din fanaa hona hai.......

Chehre....

Chehre,

Anjaane chehre,

kuch jaane pehchane chehre,

Khamosh chehre,

Madhosh chehre,

Kuch thode se afsos chehre,

Udaas chehre,

Lachar chehre,

Kuch musibaton se do chaar cehre,

Banawati chehre,

Dikhawati chehre,

Kahin dikhte hai sajawati chehre,

Milte julte chehre,

Hilte dulte chehre,

Kuch deewar pe jhoolte chehre,

Aasan chehre,

Mushqil Chehre,

kabhi mil jaate hai sangdil chehre,

Chehron ki bheed me har waqt shaamil chehre,..........

Sunday, November 22, 2009

Thode thode....

Sard raaton me kambal oodhe,
waqt guzarte rahe thode thode....

kuch din me ki kuch raat huyi baaton me,
faasle kam huye par reh gaye thode thode....

zehmat-e-jaan tab bhi tha,ab bhi hai ye,
aatish-e-ishq se bach to gaye par jal gaye thode thode....

gham aur khushi ko bas itna jaano,
har roz bulaate rahe thode thode.....

Kal Achanak...

1.
Ek baat jo atki thi akhin dil me
nikal aayi achanak
jaise koi phoda ho jo beh nikla ho,
Dard kuch kam sa ho gaya
jab lag gaye jakhmon pe marham
aur jee thoda sa halka ho gaya.....

2.
Daba ke rakho chahe jaise bhi
jab umadta hai to pyar kuch yun
barasta hai jaise sehra me huyi barish
aur dho deta hai aansuon se kabhi
to dhul ke paak ho uth.te hai hum....

Saturday, November 21, 2009

Nahi aati....

Ab bahane dhoondhte hai khush hone ke;
jo kehte the ki is taraf khushi nahi aati......

Zakhm reh reh ke kuredte rehte hai ab;
unhe to dard bina neend bhi nahi aati.......

Ye wo chiraag hai jo jal to uth.te hai ;
dhuan hota hai magar roshni nahi aati......

Ek Mod......

Ek chota bachcha,
apne tapte jism ko kisi tarah
kambal me dhaape
dhand se bachne ki koshish sa karta hua,

Bukhar se tapte badan,
aur dard se bhari aankhon ke sath,
patharon ke sard bistar par
aaram sa dhoondhta hua,

Paas hi baithi uski maa,
pareshan haal rooti ke chand
tukdo ka intezam karne ko
chai ki ketli garam karti huyi,

Aur usi dukan pe thand se bachne ko
chai khareedte log,
duniya ke kai sire ek mod pe milte huye..............

Monday, November 2, 2009

Paagal....

Wo jo dar jaata hai aahat se,
aur siskiyan lene lagta hai;

uske sath kuch hua tha aisa
jisne uski awaaz cheen li aur
use hamesha ke liye awaaz
se mehroom kar diya.....

Ek roz uske jigar ke tukde ke
kisi ne do tukde kar diye,
yahin isi jageh
uski aankhon ke saamne....

Wo chillaya tha
aur bahut zor cheekha tha,
aas paas waalon se
madad ki guhar bhi lagayi thi,
Par koi saamne nahi aaya......

Uski awaaz uske seene me jam gayi hai,
aur ab jab bhi kahin
koi aahat hoti hai
wo awaaz uske seene me kulbulati hai;
Par wo kuch keh nahi paata sirf uski
siskiyan sunayi deti hai.......

Jo sun sakte hai unko
ye bahut tez sunayi deti hai;
aur jo nahi sun paate
unhe wo bas
ek paagal dikhayi deta hai......

Friday, October 30, 2009

Badlaav.....

poochte hain ki sach batao kya hai?,
aur sach batao to bura maan jaate hain....

nahi dikhne ki shikayat roz kiya karte hain,
jo dikhte hain to anjaan ban jaate hain.....

ghair kahen to tareef si lagti hai wahi baat,
jo hum kahen to ilzaam ban jaate hain.....

Thursday, October 29, 2009

Tanhai kya waqai hoti hai?

Tanhai kya waqai hoti hai?
ye waqt jo mere sath chal raha hai,
mujhe kabhi akela nahi chodta...

Poora din ye suraj
mere aage peeche ghoomta rehta hai,
Ye sitaren jo mera sath dete hai
un raaton me bhi jab mera dost chaand
mere paas nahi hota.....

Mai akela kab tha?
Us din jab mai pareshan tha
maine deewaron se baat kar ke dil halka kiya tha,
Ya phir us din jab bahut khush
hokar mai aangan me phoolon ke sath
apni khushiyan baant raha tha....

Nahi tanhai kuch nahi hoti,
ye to mere dimagh ka ek fitoor tha,
jise mai seene se lagaye baitha tha....

Mai to hamesha se yahin tha
sabke beech ,sabke saamne,
magar sabse anjaan aur wo mujhse......

Thursday, October 22, 2009

Voice...

One voice,
which was kept in my closet,
unperturbed and untouched,
i opened it yesterday,
some old memories which were sleeping with it,
some old thoughts who tapped their feet on this voice,
all of a sudden they all became alive..

afraid and frightened me,
locked the voice in the closet,
and threw the key in the well.
today i am again searching for the same.,..

Khamoshiyan....

Khamosh nazar,khamosh shaher ,khamosh zuban,khamosh kadam,
kuch jaage se, kuch soye se,kuch aadhe se behosh hai hum......

Ye duniya hai kuch bhigi si,kuch ulti si,kuch sidhi si,.
aur raton me,in hathon me,taqdeer jo badle hai har dum.........

Koi paata hai,koi khota hai,koi sapne roz sanjota hai,
na to zindagi hi kabhi rukti hai, na rukte hai ye tez kadam........

Wednesday, October 14, 2009

Barso aaj mujh par tum,
kuch waise hi jaise
mere kuch rupaye churane par
barse the....

usi adhikar se tum
aaj mujh par hath uthao,
cheekho-chillao,
mujhse kaho ki mai kitna ghalat hoon.....

meri nadaniyon pe ab
tum kuch kyo nahi kehte?
kya mai wakai bada ho gaya hoon?
nahi shayad abhi nahi..

Tum kuch bhi karo
Par mujhe wo purana
Pyaar bhara gussa lauta do....

Tuesday, October 13, 2009

Pehchaan..

Mai kya hoon?
Ek ajeeb paheli,
ek sunsaan raat ka chaukidar,
ya ek ujali raat ka akela chaand...

Haad maans ka hona,
khana-peena,
hasna-rona,
jagna-sona,
in sab cheezon ke bawajood,
akhir kya hai meri pehchan...

Sunday, October 11, 2009

Mai ek bhooli huyi yaad ki
tarah bhula diya gaya hoon..

jaise ek phool jo sookh kar
zameen pe gir jata hai,
kuch waise hi meri yaadein
purani hokar murjha gayi hai..

jaise us phool ki pankhudiyan mitti me
mil usi paudhe ko naya jeevan deti hai
theek waise hi meri yadon ke panne
khud ko jala ke raakh ban gaye hai...
aur mai usi raakh ki syahi se phir
ek nayi kahani likh raha hoon...

Thursday, October 8, 2009

Aasman toote sar pe pairon tale zameen khiske,
Kuch to ho ki zindgi kahin khiske.....

Wednesday, October 7, 2009

Acha aur Bura...

Bemaza haqeeqat se to jhoota fasana acha,
tu mere jaane se khush hai to jaana acha....

Sach chupa sakti nahi teri ankhen mujhse,
chahe tu dhoodh le kitna bhi bahana acha....

Nahi tabiyat se milna to mat idhar aao,
hath milane se to tera aankh churana acha....

Muflisi meri qismat hai to koi baat nahi,
veeran mehalon se to mera gharibkhana acha......

Thursday, September 17, 2009

Koi shakhsh...!

 Band darwazon pe dastak deta hai koi,
us oor shayad ab bhi rehta hai koi........

Ki ummeed ke diye kahin bujh na jaaye,
ban ke baati wahan ab bhi jalta hai koi.......

Agarche to.d diye hai saare naate us-se,
khuda ke qeher se phir bhi abhi darta hai koi......

Aansuon ki nadi na jaane kab ki sookh chuki,
dard badh jaaye to kahin ab bhi rota hai koi.......

Jahan bichde the us kaali raat me do dil,
us dasht me shayad ab bhi bhatakta hai koi.....

Wednesday, September 16, 2009

Kyo zindgi tujhe samajhne me waqt gawaya humne,
Nahi socha ki tu kiski huyi hai ab tak.....

Mere khayal....!

Mere khayal kati patang ki tarah hawa me ud rahe hai,
bina dor ki ek patang jise manzil ka pata nahi.

Hawa ke thapedo se unme halchal si hoti hai,
apni pehchan bachane ko wo hawa se ladte hai.
Is jaddojahed me unko bhi thodi chot lagti hai
jaise patang ke kinare fat gaye ho.

Ab khayal apni jageh se kaafi door chale aaye hai,
thak haar ke wo aakhir zameen pe gir padte hai.
Phir ek naya ladka usko utha leta hai aur
usko thoda badal kar ek nayi duniya me udata hai.

Friday, September 11, 2009

Kya ab bhi....

Kya ab bhi chaand garmiyon ki alsayi raaton me
waise hi dikha karta hai jaisa hum apne aangan
ke darakhton ke beech se dekha karte the.

Ya wo aangan me mushroomi paudhe ab uga nahi karte.

Kya ab bhi gauraiyya ke ghonsle me uske nanhe bachche
waise hi udna seekhte hai jaise kabhi wo
udne ki koshish me zameen pe gir jaate the.

Ya ab wo barsaat ki raaton me jhingur ka bolna band ho gaya hai.

Kya wo talaab ke kinare ke khet ab
bhi waise hi hai jinke
kinare humne chalna seekha.

Ya un neem ke darakhton pe
gilaharion ka chadhna band ho gaya.

I don't know...

I don't know how far am i from you,
 but i am under the same sky over which
you said you will fly some day.

I listen to that song which you sang for me
and now i feel how meanings change with time
while words remain the same.

I don't know how far i am from you
,but i am on the same land where
you said you will build your home.

I can still feel that pain that you
took for me and now i feel
how thoughts change with time
while mind remains the same.

Tuesday, September 1, 2009

Mujhe tamannaon ki haqeeqat se rubaroo kar de;
Ki jaan jaun tapish kya hai ,jal jaane ke baad......

Ab to kuch bhi nahi baaki hai zamane ka mujh me;
Nasha utar gaya hai zamane ka ,hosh aane ke baad......

Behisab sawaalon ka ka ghera hai mere aage;
Choda kisko hai maine ,gale lagane ke baad......

Khoobiyon ki misaal ab bhi dete hai khud se;
ye to barish hai ,hoti hai aazmaane ke baad......

Mera to kya hai bharosa ki bas itna samajh lo"Shahid";
Mai wo diya hu jo jal jaata hai,bujh jaane ke baad.....

Monday, August 31, 2009

Market.....

You are trying and trying and trying again;
I am not gonna buy and buy again...............
I want a tulip then why do you
come and try to sell a ULIP....
I am in a hurry and you are making
my brain's curry..................
Stop! Stop! For god's sake..
as i am not gonna take .
Oh! poor salesperson i know your job is tough;
and i don't wanna be rough......
but hey please leave me alone and don't make my life
a hell;
Go find a new place where you can try and sell.....

Wednesday, August 26, 2009

Aaj Subah......

Subah utha aaj mai aankhen malte huye;
Akhbaar ke panne palat.te huye laga ki meri
meethi chai kadwi kyon lagne lagi?


Khabron ki kadwahat se mijaz kharab hua to socha
kyon na kuch likh ke man halka kar liya jaaye........


Tabhi paas me baithi billo rani ne ek choti chuhiya pe
jhapatta maara aur uska dum nikaal diya;
humne kaha beta emotional mat ho yahi to duniya
ki reet hai,bada hamesha chote ko dabata rehta hai.......


Chehre pe kai dino ki ug aayi jhaadi ko saaf karke
naashte ki table pe baitha to saamne ek murg mughlai dish
padi thi;


Mujhe TOPGUN-MURUGAN ki yaad aayi aur laga ki mai
hi wo non-vegetarian villain to nahi?
Humne phir kaha beta emotional mat ho jeene ke ladai me
kisi na kisi ko marna hi padta hai.......


Doosri chai ki pyaali le kar humne ek mahila ki tasveer
dekhi jinko attitude problem pe research ki beemari thi;


Abhi tak to purushon ki mansikta pe hi sawaal uthaye
jaate the lekin jis rate se mahilaon me attitudinal syndrom badh
raha hai samaj me doosri ganga bhi samananter hi behne waali hai;


Humne socha beta emotional na ho aur Ardhnaareeshwar (Half women God)
ki aradhna shuru kar do.......




Monday, August 24, 2009

Maine dekha.....

Maine sadak pe chalte huye aaj duniya ko dekha;
Barf ke gole khate huye bachcho me bachpan dekha aur
Ungliyan pakad ke chalna sikhate abba dekhe;
Hathon me hina ke rang sajati betiyan dekhi aur kuch saamaan
Khareedti maaye.n dekhi.......


Wahi paas me chai ki ketli pakde ek aur ladka bhi dekha;
Aur ek rikshe me do logon ka wajan dhota hua boodha bhi dekha;
Ek nanhi jaan ko seene se chipkaye ek aurat ko chand sikko ke liye
hath failate dekha;
Aaj maine duniya ke do na mil sakne waale kinare dekhe........


Kisi ke sar ko sahara dete kandhe dekhe;
Jinhone ne foda tha sar uska wo dande bhi dekhe;
Jin ankhon ne chamakte khwab the dekhe unhi
ankhon ki palkon me humne aansoon bhi dekhe;
Aaaj sadak par chalte huye ye sab meri aankhon ne dekhe.....



Tuesday, August 11, 2009

...Quest....

Jaana jitna utna ulajhta hi gaya;
Mai nikla tha zindgi ki paheli suljhane...


Jab pata chala shaam kyo hoti hai kyo hoti hai subah;
Jab raasto ke matlab kuch samajh aane lage;
Gehrayi raat aisi ki bhatakta hi gaya;
Mai nikla tha zindgi ki paheli suljhane....


Jab rishton ko jaana,rishton ki ahmiyat samjhi;
Jab jaana ki log tanha kyo hote hai;
Aag kuch aisi lagi ki sulagta hi gaya;
Mai nikla tha zindgi ki paheli suljhaane.....


Jab jaana pyar kya hai aur kyon hai nafrat;
Jab jaana maine haar aur jeet ka matlab;
Thokar aisi lagi ki girta hi gaya;
Mai nikla tha zindgi ki paheli suljhaane.....










Saturday, August 8, 2009

.....idle couplets.....

"Meri subah girwi hai ab chaand ke paas,
is bazaar me raat bahut mehengi bikti hai........"

"Wo sach hi kya jo sabko khamosh kar de,
hum jhooth hi kehte hai ki koi baat to ho........."

qaid...


Maine apne khwabon ke par katar kar unhe pinjdon
me qaid kar diya tha ki wo ud na sake,
Unke cheekhne ki aawazen mujhe roz sunayi deti thi.
Aazad hone ki unki bhi khwahish thi ,
Aaj kuch hua aur maine pinjda khol diya........

Thursday, July 16, 2009

.....Raindrops.....


The sand is still wet and your footmarks are still there,
The cold breeze is still coming from sea and i can't stop this time..

I can't stop feeling these raindrops on my forehead,
I can't stop breathing this fresh air in my head.....
My thoughts are still burning and i am playing with the remains.

Tuesday, July 14, 2009

Ab tumse mulaqaat jaane kab hogi;
Jo adhoori rahi thi baat jaane kab hogi.....

Itna ro lu ki zakhm dhul jaaye saare ;
Aansuon ki aisi barsaat jaane kab hogi....

Gir ke uthne ki ummeed bhi baaki na rahe;
Zindagi itni bhi baarbaad jaane kab hogi.......

Muddaton se is mod pe khada hu "Shahid";
Tere laut ke aane ki wo raat jaane kab hogi......

Saturday, July 4, 2009

Nayi Shaam.....

Kuch waqt mil gaya hai,Kuch waqt kho gaya hai;
Manzil to kuch wahi hai par raasta naya hai.....

Wo shaam jiski talash me mai meelo.n chalta raha;
Wo shaam to mili nahi mujhe lautna pada hai.....

Ab akela nahi hoon mai wo pehle ki tarah;
Mera dard hai mera hamsafar mere sath hi raha hai......

Kis ghadi badalegi qismat ki tabiyat ye jaane hai kaun;
Mai to yahi jaanta hu ki ilaaz chal raha hai......

Ab nazar mila ke chalne ke zamane gaye;
Koi dekhe hai to kehte hai ki aaram chal raha hai.....

Khalish jo dil me hai wo bhi door ho jaayegi "Shahid",
Ye dil ka maamla hai ye maamla bada hai.......






Sunday, May 31, 2009

Aaj phir ek shaam beet gayi;
shayad kal phir nayi subah hogi...

Naata kuch tootega apne aap se phir;
zindagi kuch raeth ki tarah hogi....

Zakhm bharne ko hai ye lagta hai;
phir nayi chot khaane ko to jageh hogi....

Jism khamosh bhi hai to kya shiqwa;
rooh baaki hai to fateh hogi......

Monday, May 4, 2009

ajnabi tasveeren.....

Kuch chhoota to nahi hai par sath le bhi nahi aaya;
Wo yaadon ke dhoondhle makaan ab bhi wahin hai......

Mera to dil jala aur usko khabar bhi nahi huyi;
Usne jo chot thi di uske nishaan ab bhi wahin hai......

Wo ghadi do ghadi me zindagi bhar ki khushiyan;
Chali gayi magar hone ka guman ab bhi wahin hai....

Tuesday, April 7, 2009

Kuch sawalon ne humko hai ghera hua,

Aankh kholi hai ab jab andhera hua.............

Meri kashti to hai koi saahil nahi,

Waqt ne hath aise hai phera hua........

Sunday, March 22, 2009

Yaad....

Yun mujhko na sataya kare;
wo itna bhi na yaad aaya kare...

ab shaq-o-subaha bhi na raha bichad jaane ka;
Na aaye paas to mujhko bulaya kare...

Hai ye kaisa safar bechaini bhara;
Neend aaye nahi to sulaya kare....

Hum jiynege bhi to apni tarah" shahid";
Jaan jaati bhi hai to jaya kare......

Pehchaan....

Meri surat ab mujhse nahi milti;
Shayad isiliye log mujhe nahi pehchante.....

Kuch ko lagta hu mai ajnabi jaisa,
Kuch ko lagta hu mai zindagi jaisa,
har pal kuch badal jaata hai mujhme,
Shayad isiliye log mujhe nahi jaante......

Mera saaya mera hai par mere sath nahi,
Meri baaten meri hai par wo baat nahi,
Maathe ki shikan keh deti hai sab kuch,
Shayad isiliye log bura nahi maante......

Mere Haalaat...

Bas karo ab to jeene do mujhe;
zindagi zeher bhi hai to peene do mujhe....

Naya hai chaand nayi raat bhi hai;
hai nahi kuch to hone do mujhe....

thoda waqt lagega phool khilne me abhi;
Kuch mere khwab hai bone do mujhe....

Maine hamesha dhoondhe the tere kadmon ke nishan;
Ab paa liya hai to chalne do mujhe....

Mere hathon ki lakeeron ka sila;
Jo bhi likha hai wo milne do mujhe.....

Friday, March 20, 2009






Baaraha soch me pad jaata hu;
Kaha se aaya hu aur kaha jaata hu....

Wo aayega kabhi toh sunke isi aas me;
Mai wahi kahani baar baar dohrata hu.......

Kaun kehta hai taqdeer ka likha nahi mit-ta;
Mai to yaha roz likhta hu mitata hu........

Khwab jungle me hua karte the kabhi paida;
Aag lag gayi waha ab to is ghar me hi ugata hu.......

Tum mujhe paoge to paoge yunhi hardum ;
Rukhe dariya nahi jo roz badal jaata hu.........

Simat ke reh gaya tha jo sard mausam me;
Garam aahat se hi lamho me pighal jaata hu.......

Mujhse meri parchai ne cheen "shahid";
Wo saath hoti hai to do kadam chal paata hu........








Thursday, March 19, 2009

kuch to ehsaas baaki rahe;
dil me thodi si aas baaki rahe.
sab loot bhi le to gham nahi
bas thodi si saans baaki rahe..

hansna na ho to satati rahe,
zahir na ho to chupati rahe..
haar jaun chahe kuch pal ko main
zindagi tu mujhe aazmati rahe..






Wednesday, March 11, 2009

Darakht........Tree...

Shaakh se patto ko gir jaane do;
Phir use tanha hi reh jaane do........

Waqt badla hai kuch mausam badla;
thoda sa usko badal jaane do..........

Uske hone ke saare nishan mita do zamane ke liye;
Dil me uski yaad to reh jaane do............

Aag bujhane ki sabne koshishen kar li;
Uske jalne se bujhti hai to jal jaane do........


Monday, March 9, 2009


Phir koi shaam is shaam si na hogi;
ki zindagi mujhse milne aayi thi alvida kehne........

Ab to yaadon ke sahare hi waqt beet jaayega;
Usne itna diya hai ki kya kehne.............

Teri ankhon me nami thi ya nazar ka dhoka;
mujhe khush karne ko dil lagta hai dhoka kehne.......

Wednesday, March 4, 2009

Change......


Badalna khud ko hume manzoor hai lekin;
meri is khata ka koi to sila mile..

Shikayat kis se kare apni badhaali ka;
Kahin to raah me mujhko khuda mile........

Lagana dil ka hum bhi samajh jaayenge lekin;
Koi to shakhs mujhko bhi juda mile..........

Friday, February 20, 2009


Mujhse ek baar mil to le phir chale jaana;
Teri marzi hai phir chahe aana na aana....

Dil ki lagi ko mai kya jaanu ki, mai nahi is qabil;
Ye to wahi jaane jisko aata hai ye aag lagana, bujhana...

Zindagi har saal kuch na kuch khoti hai;
Is saal magar veeran ho jaayega mera aashiyaana.....

Bhula dene ki koshish mai tanha kaise karu;
Tu bhi to kuch kam kar yaad aana..................

Meri har raah teri raah pe le jaati hai;
Kya itna mushqil hota hai apni raah badal paana..............







You will never know what i feel;
when i sleep alone far from my loved ones.....
You will never know how difficult it is
to close my eyes and watching them and pretending
that i am asleep.
You will never know how long this night seems like the
darkness of it is never gonna end but i still pray to god that
i wanna see the morning sun.
You will never know never how far i have came while traveling on
this unknown path and i feel i can't come back.
You will never know the pain i have suffered and you will never know
the reason of this pain.
You will never know why my face looks pale and the reason behind my red
eyes.
You will never know when did i started living and when did i stopped.
You will never know why i laughed and you will never know why i cried.
All you will know is that i existed and i was here when you were also present at the same place.


Tuesday, February 17, 2009

Meri Pehchaan .........


Meri raftaar abhi tum kya jaano?
kuch bhi jaano magar mujh ko tum, juda jaano.....

Abhi to aur bhi honge yahan charche mere;
Jo bhi hua hai abhi tak wo, Ibtada jaano.......

Dikhte hai kam agar tumhari gali me to kya hua?
Aisa na karo zulm ki ,Ghumshuda jaano.........

Mere chehre ki haalat hi kuch aisi hai;
Mujh me dekho agar to mujhko aaina jaano.........

http://www.ibtada.com/



Monday, February 16, 2009


Duniya ki mushqilon se pareshan aadmi;
Apne halaat se ladta laachar aadmi.........

Chinta ke lakeeren hai kuch ke maathe pe;
Aur kahin bheed me muskurata hai beemar aadmi.....

Kuch ko ghairon ne sataya hai to kuch
Apni ghaltiyon ka hai shikar aadmi...........

Saza to yanhi mil rahi hai saare gunahon ki"shahid';
Kehte hai ki Dojakh me jaata hai gunehgaar aadmi.....

Zindagi ki saare rang dekh paoge ghar chaho;
Saare rangon ka jeeta jaagta ishtehar aadmi.....

Pehle rang dhnag se bik jaate the bazaar me;
Ab to wahan bhi taule jaate hai bekaar aadmi.......










Sunday, February 15, 2009


Aaj apne aap ko dekha aur aisa dekha;
Ki koi
khud ke sath tanha baitha ho.

Meri baaten huyi mujhse ajnabi ki tarah,
Jaise mile ho do log kisi safar ke dauran aur

apna sab kuch ganwa baithe ho....

Meri kahaniyan mujhse alag si thi thodi,
aur thoda mai bhi tha meri kahaniyon jaisa.
Dono mil baithe aise ki jaise
saare gile shikwe mita baithe ho...

Parchai meri mujhse phir bhi door khadi thi,
Jaise usko sharm aati ho mere sath chalne me,
Maine phir bhi ki guzarish ki chal pado ki
kyon yahan bewajah baithe ho.....

Raat ki barish ne dho diye the saare nishan,
kis taraf chalu ab kaise ho pata ki jeena mushqil
hai jab saare raaste bhula baithe ho.......
Thoda to waqt do ki kuch keh jaun;
Nahi to mumqin hai ki chup reh jaun.





Kyo dard reh reh ke uth.ta hai;
Jab bhi wo khuda hafiz keh ke uth.ta hai....

Mai sochta hu ki kuch keh du magar;
Hosh jo hai thoda reh ke uth.ta hai.............

Aankh se barish to har roz hoti hai;
Taqleef hoti hai jab bina kisi wajeh ke uth.ta hai.....

Kitna baar toda gaya hai usko ab yaad nahi;
Magar wo hai ki Dhah dhah ke uth.ta hai...........


Change in time..........


Shakh se patte bhi jhhad gaye honge;
Naye saal me ab phool bhi naye honge....

Jo purane zakhm the wo bhar aaye hai.n;
Naye rishton me ab zakhm bhi naye honge......

Agar ye dil nahi hai paak saaf to kya hua?
Milenge kaha jo doodh se dhule honge........

Mujhko pata hai ye rasm duniya ki ab;
Jaha shabnam hai shole bhi wahi.n honge......

Kabhi to hoga ki neend aayegi in ankhon me;
Chahe tab hum khak me mile honge........

Kahan Jaaye.n......


Kabhi socha nahi kaha jaaye.n;
Aisa hota nahi wo aa jaaye.n.........

Humko bharosa nahi hota khud par;
Unse hota nahi ki aazma jaaye.n............

Kuch meri kismat bhi wajah hai iski;
Itna aasan nahi ki bhula jaaye.n.............

Maana ghalti ki thi jo mujhse mile;
Ek dafa apni khata dohra jaaye.n......

Phir nahi maangenge kuch bhi unse;
Bas ek dafa nazar se nazar mila jaaye.n.....


Friday, February 13, 2009


Mujhse ye bojh bhi uthaya na gaya;
Usne chhoda to bulaya na gaya.....

Rooh ki garmi se jal utha mai bhi;
Aisi thi aag ki usko bujhaya na gaya....

Kaise pata chalega mujhme aur usme farq;
Wo tha sachcha,mujhe jhoot sikhaya na gaya.....

Uski baaten goonjti hai is dil me har ghadi;
Ae khuda uska ek lafz bhi zaya na gaya..........

Na jaane in aankhon ki barsaat ki kab thame.n;
Ek arsa hua kabhi mujhko rulaya na gaya............



Sab kuch chod ke tere naam chala hu;
Ye Shahar bhool, manzil-e-ghumnaam chala hu.....

Laakh koshish ki phir bhi le nahi jaa paaya jinhe;
Chhod peeche kuch apne nishan chala hu.............

Dikhi nahi koi khata meri shayad rahi ho kuch;
Jhaank mai saare girebaan chala hu.....................

Darakhton ki Chaanv chod aaya hu ki tujhe;
Jab bhi khushi ho, mai bade aaram chala hu........


Kyo mujhe keh ke tum satate ho?
mai kuch na kar paunga,tum keh ke chale jaate ho....

Kya sab ke hath ki lakeeren hai ek jaisi?
Ya hai sab ke khwab chote aur hai mere bade?

Kyo toot jaayenge keh ke tum darate ho?
mai kuch na kar paunga, tum keh ke chale jaate ho.....

Tumhe laga tha mai bol nahi paunga,
Kab tumhe tumhare naam se bulaunga?

Maine seekh liya kehna ki tum ho mere,
Tumse hai meri duniya ye basi......

Kyo Ujad jaayegi keh ke tum jalate ho?
Mai kuch na kar paunga, tum keh ke chale jaate ho.....

Badal gaya hai ab mahaul pehle jaisa nahi,
Pehle mai chota tha mere khwab bade,
ab mai hu kuch bada to khwab chote lagne lage..

Haan mai ab laut aaya hu tumhare paas to tum aa kyo nahi jaate,
pehle tum paas the door tha mai,

Aa gaya hu yaha to kyo chhod jaate ho?
Bhool jaunga tumhe, keh ke chale jaate ho.........

Chahe jo bhi do seene se laga ke rakhenge;
nahi chahat teri to nafrat hi sahi......................

Milna hai jo bhi mujhe mil hi jaayega;
Abhi nahi to thodi mohlat hi sahi....................

Nahi jaanta tu mujhe to kya raha baaki;
Duniya ki nazron me meri Shohrat hi sahi...........

Na karo yaad hume, hum nahi bhoolenge kabhi;
Chahe chukani pade dil ko badi qeemat hi sahi.......

Tuesday, February 10, 2009

Raakh ka dher hai,dhua.n hai aur mai hu;
Jhooth ka daur hai,sach hai aur mai hu...

Ab nahin hai kisi ke sahare ki zaroorat;
Neela aasman hai, samander hai aur mai hu...

Wo sunayega mujhe dhero kahaniyan ab;
Uske khwab hain, sikander hai aur mai hu...

Ghumnaami ke din hai kuch din aur chalo;
Qafas(cage) hai, kabootar hain aur mai hu......
In baadlon ki tarah mera man bhi kahi.n;
Dil khol ke ab barasna chahta hai.........................

Pareshan ho gaya hai yunhi ghoom ghoom ke,
Jaise koi ghar ho na koi thikana ho rehne ka,
thak gaya hai ab ye zameen me simatna chahta hai......

Bojh ban gayi hain seene pe jaise iski boondein,
khaulta paani hai ye ab aur nahi saha jaata,
apni aankh se ab in ashkon ko bhi bahana chahta hai.......

Barson se hai dabi huyi hai iski cheekhen dil me,
Roz chubhta hai ye zeher bhi kannto ki tarah,
Ek baar to zor se ye bhi ab garajna chahta hai......

Badal jaayega mausam bhi thoda shor karo;
Khamosh nazron ki sada koi sunta hi nahi.................

Gar aadat nahi to aadat me ise shumar karo;
Maza udne me hai ruk ruk ke chalne me nahi............

Ikhtiyar mera hai na hai tumhare bas me;
Wo hi deta hai is se kisi ko inkaar nahi.............

Kadam badhana bhi mushqil hai ki is raah me;
Jannat bhi hai, dozakh bhi hai chalna hai magar...............

Haalaat badalte rehte hai har lamhe me yahan;
Kahi.n to dhoop kahi.n channv hai lamba hai safar.............

Faulad se bhi majboot iraado.n ko bana;
Hawa aati hai gira jaati hai jo ho raeth ka ghar..................

Chaand me daag hai tabhi salaamat hai chaand ab tak;
Maa lagati hai daag sar pe, na lage koi nazar...........

Na chhodo ummeed ka daaman ki duniya bhi hai;
Der hoti hai par hota hai Duao.n ka asar................

"Shahid" bhi chod jaayega to kaun hoga;
Koi to hai jisse aabaad hai ye tera shahar...................

Monday, February 9, 2009

Khoob socha tha ki hamara bhi ek muqaam hoga;
Nahi pata tha mera, yahi anzaam hoga......................

Haar jaunga mushqilon se ab rehne do;
Nahi pata tha mera, itna imtehan hoga...............

Na laata naam kabhi apni zuban pe, gar pata hota;
Bewajah sath mere tu bhi badnaam hoga............

Apne khwabon ko deewar pe lagaya nahi karta;
Kya pata tha wahi ghar raakh ke naam hoga..................

Ghar se nikla tha ,justazoon me teri laut aaya;
Nahi laga ki ye tamasha bhi sare-aam hoga.................

Jaun kaha ki ghar se beghar kar diya mujhko;
Mere qatl ka ilzaam bhi tere naam hoga................

Meri wafaon ka kuch to sila do "shahid";
Mera to ho gaya, tumhara bhi kaam tamaam hoga.................







Apni dosti ka karz mai chuka du.unga;
Waqt aane do sab kuch tumhe bata du.unga.............

Chahe jal jau.n apni koshish me tere liye;
Jaate jaate ek Sham.ma to jala du.unga................

Ab mera kaun hai kiske sahare jiya jaaye;
Zindagi teri amanat hai, tujhe lauta du.unga..............

Zindagi ne to mujh se wafa kiya hi nahi;
Maut bhi bewafa hoti hai, dil ko samjha du.unga.............

Na ho muqammal kuch ummeed to hai;
Isi ke sahare khud ko behla du.unga.........









Shikayat............


Is se pehle bhi shikayat rahi hogi;
Usne pehle to kuch kaha bhi nahi.n........

Raah me yunhi hume chhod diya;
Kahun kaise ki bewafa bhi nahi.n..........

Khafa tujh se nahi.n khud se hu ki tere baare me;
Khabar ghairon se mile, itna to bura bhi nahi.n.............

Meri Duao.n ka kabhi to asar hoga;
Chahne wala koi mujhsa abhi tak hua bhi nahi..........

Mera daawa hai ki tu laut ke aayega ek din;
Khuda ka karishma hai, roz roz hota bhi nahi.n......


Wednesday, February 4, 2009

Departure from myself.......khud se judai....


Khwab dekhna na chhoda humne;
Khwab me jeena, humne chhod diya.......

Khud se bhaagne ki fitrat na gayi ab tak;
Laut ke ghar aana, humne chhod diya...........

Toota aaj bhi hai seene me kuch pehle ki tarah;
Dil ke tukdo ko sanjona, humne chhod diya.......

Raah me thokar to ab bhi lagti hai yaaro.n;
Apno ne haath thamna , magar chhod diya......

Likhte ab bhi hai.n ki kuch farq aaye;
Kalam ko khoon me bhigona, magar chhod diya.......

Waqt rahega mere hone ka gawah "shahid";
Maqbooliyat ki chah ka aaina, magar chhod diya.......

Tuesday, February 3, 2009

Zindagi bas yahi.n thahar jaaye;
Tere aage na phir nazar jaaye.......


Shab-e-firaq ka zikr jab bhi ho mehfil me;
Aankh saari ashkon se bhar jaaye.......


Tu nahi to teri yaad to ho;
Raah koi to phir nazar aaye......


Shaakh pe phool bhi khil jaayenge;
Tere baare me kuch khabar aaye.....

Koi rahe na rahe mai rahunga "Shahid";
Chahe intzaar me ye umar bhi guzar jaaye.......



Ghalat hum hai, aur sahi tum bhi nahi;
Faisla kaise ho ki kya kiya jaaye.......

Dard to hai, aur koi marz bhi nahi;
Koi bataye ki kaise dawa ki jaaye.......

Mandir jal gaye, aur masjiden toot gayi.n;
Ab kahan jaake tere liye Dua ki jaaye.......

Roz marta hu, aur jee uth.ta hu har roz;
Thak gaya hu ab mujhe kabr me dafna diya jaaye......

Zindagi tu hi hai, aur tu hi nahi "shahid";
Sirf ek baar tujhe kahi.n se bula diya jaaye.........

Monday, February 2, 2009



Bolna tera aur mera na sun.na;
Kyo.n ye khata humse har baar hoti hai.....

Taareekh badal jaati hai Din nahi badalte;
Zindagi kyo.n itni bezaar hoti hai.......

Is ummed pe ki subah phir aayegi;
Yakin hota hai magar fiqr bashumar hoti hai......

Teri nazron se guftgoon hone ke baad"shahid";
Jaan jaati hai magar maut shandaar hoti hai.......

Sunday, February 1, 2009


Raat phir raat na reh paayegi;
Ye kahani ab door talak jaayegi.....

Humne socha ki is jism ko yahin chod de lekin;
Jis jagah rooh hai ye khud hi chali aayegi.....

Thursday, January 29, 2009

Threeliners....



1..
In the plains of sorrow,
there are no trees;
where should i take refuge?

2..
All the words have lost their meaning,
please open your eyes;
I wanna talk to you.