Friday, September 11, 2009

Kya ab bhi....

Kya ab bhi chaand garmiyon ki alsayi raaton me
waise hi dikha karta hai jaisa hum apne aangan
ke darakhton ke beech se dekha karte the.

Ya wo aangan me mushroomi paudhe ab uga nahi karte.

Kya ab bhi gauraiyya ke ghonsle me uske nanhe bachche
waise hi udna seekhte hai jaise kabhi wo
udne ki koshish me zameen pe gir jaate the.

Ya ab wo barsaat ki raaton me jhingur ka bolna band ho gaya hai.

Kya wo talaab ke kinare ke khet ab
bhi waise hi hai jinke
kinare humne chalna seekha.

Ya un neem ke darakhton pe
gilaharion ka chadhna band ho gaya.

No comments:

Post a Comment